zahiran maut hai qaza hai ishq 
par haqiqat mein jaan-faza hai ishq 
deta hai lakh tarah se taskin 
maraz-e-hijr mein dawa hai ishq 
ta-dam-e-marg sath deta hai 
ek mahbub-e-ba-wafa hai ishq 
dekh 'nassaKH' gar na hota kufr 
kahte be-shubah hum KHuda hai ishq
        Ghazal
Zahiran maut hai qaza hai ishq
Abdul Ghafoor Nassakh

