zahir tu hai to main nihan hun
baatin tu hai to main ayan hun
tu hi zahir hai tu hi baatin
tu hi tu hai to main kahan hun
tere hote kahin nahin main
awwal aaKHir na darmiyan hun
tu tu main main ne mar Dala
dam band hai kijiye na han hun
main hi laila hun main hi mahmil
naqa bhi hun main hi sarban hun
hun kunj-e-qafas mein band lekin
bairun-e-zamin-o-asman hun
dariya ki tarah rawan hun lekin
ab tak bhi wahin hun main jahan hun
juz nam nahin nishan mera
sach-much main bahr-e-be-karan hun
Ghazal
Zahir tu hai to main nihan hun
Ismail Merathi