zahir na tha nahin sahi lekin zuhur tha
kuchh kyun na tha jahan mein kuchh to zarur tha
mai ko mere surur se hasil surur tha
main tha nashe mein chur nasha mujh mein chur tha
kam-maya fard-e-jurm hai kya kahiye ai karim
hum se kami hui ye hamara qusur tha
le ja rahe hain dost mujhe aa raha hai dost
kya maut ko bhi aaj hi marna zarur tha
mulk-e-suKHan har ahl-e-suKHan ko hua nasib
'natiq' mere nasib mein ye nagpur tha
Ghazal
Zahir na tha nahin sahi lekin zuhur tha
Natiq Gulavthi