zahir musafiron ka hunar ho nahin raha
chal bhi rahe hain aur safar ho nahin raha
kya hashr hai ki barish-e-naisan ke bawajud
paida kisi sadaf mein guhar ho nahin raha
subh-e-visal kab se numudar ho chuki
napaid sham-e-hijr ka Dar ho nahin raha
qail tamam shahr tere eatibar ka
hona to chahiye tha magar ho nahin raha
baiThe hue hain der se shatir bisat par
mohara koi idhar se udhar ho nahin raha
lagta hai yun qayam hai apna sarae mein
hum jis makan mein hain wo ghar ho nahin raha
murda hue hain lafz ki patthar samaaten
KHami kahin to hai ki asar ho nahin raha
'gulzar' sab ne peD ko sincha hai KHun se
taqsim har kisi pe samar ho nahin raha

Ghazal
Zahir musafiron ka hunar ho nahin raha
Gulzar Bukhari