zahid nahin masjid se kam hurmat-e-mai-KHana
maston ki jamaat mein mehrab hai paimana
kyun zulf teri uljhi rahti hai ai jaanana
hazir hai dil-e-sad-chaak darkar ho gar shana
dekhe jo teri surat ho jae hai diwana
hai aks se tujh ruKH ke aaina pari-KHana
is dil ka mere jalna rakhta hai wo kaifiyyat
dekhega jo parwana ho jaega mastana
ek naqd-e-nigah par 'ishq' bikta hai to kar sauda
de bahr-e-KHaridari didar ka baiana
Ghazal
Zahid nahin masjid se kam hurmat-e-mai-KHana
Ishq Aurangabadi