zahid asir-e-gesu-e-jaanan na ho saka
jo mutmain hua wo pareshan na ho saka
qaid-e-KHudi mein aadmi insan na ho saka
zarra simaT gaya to bayaban na ho saka
daman tak aa ke chaak gareban bhi rah gaya
andaza-e-bahaar-e-gulistan na ho saka
KHun-e-dil-o-jigar na tabassum bana na ashk
mazmun-e-arzu koi unwan na ho saka
marna to ek bar hua sahl bhi magar
jina kisi tarah kabhi aasan na ho saka
baDhta hi ja raha hai zamane ka iztirab
duniya ke dard ka koi darman na ho saka
mustaqbil-e-hayat ke irfan se main 'nushur'
is daur-e-pur-fareb ka insan na ho saka
Ghazal
Zahid asir-e-gesu-e-jaanan na ho saka
Nushur Wahidi