zae nahin hoti kabhi tadbir kisi ki
meri si KHudaya na ho taqdir kisi ki
nahaq mein bigaD jaane ki aadat ye ghazab hai
sabit to kya kijiye taqsir kisi ki
qasid ye zabani teri baaten to suni hain
tab jaanun ki la de mujhe tahrir kisi ki
be-saKHta pahron hi kaha karte hain kya kya
hum hote hain aur hoti hai taswir kisi ki
aisi to 'nizam' un ki na aadat thi wafa ki
wo jaane na jaane ye hai tasir kisi ki
Ghazal
Zae nahin hoti kabhi tadbir kisi ki
Nizam Rampuri