اردو हिंदी
Yunhi zalim ka raha raj agar ab ke baras | Shaahi Shayari
yunhi zalim ka raha raj agar ab ke baras

Ghazal

Yunhi zalim ka raha raj agar ab ke baras

Raza Mauranvi

;

yunhi zalim ka raha raj agar ab ke baras
ghair-mumkin hai rahe dosh pe sar ab ke baras

jism boenge sitamgar anajon ki jagah
aur faslon ki tarah kaTenge sar ab ke baras

zehn se kaam lo aur moD do tufan ka ruKH
warna aansu mein hi bah jaenge ghar ab ke baras

jaane kis waqt ajal aap ko lene aa jae
sath hi rakhiyega saman-e-safar ab ke baras

naKHl-e-hasrat ko na ashkon ki nami do warna
aur mahkega gul-e-zaKHm-e-jigar ab ke baras

ab na ghabrao ki miTne ko hai zalim ka wajud
KHun-e-mazlum dikhaega asar ab ke baras