yunhi wabastagi nahin hoti
dur se dosti nahin hoti
jab dilon mein ghubar hota hai
Dhang se baat bhi nahin hoti
chand ka husn bhi zamin se hai
chand par chandni nahin hoti
jo na guzre pari-washon mein kabhi
kaam ki zindagi nahin hoti
din ke bhule ko raat Dasti hai
sham ko wapsi nahin hoti
aadmi kyun hai wahshaton ka shikar
kyun junun mein kami nahin hoti
ek maraz ke hazar hain nabbaz
phir bhi tashKHis hi nahin hoti
Ghazal
Yunhi wabastagi nahin hoti
Ibn-e-Safi