yunhi umr-bhar tere rang-o-bu se mere lahu ki wafa rahe
main charagh ban ke jala karun to gulab ban ke khila rahe
wo zamin ho ki ho aasman ye diya hamesha jala rahe
main kisi safar mein rahun magar mere sath man ki dua rahe
meri kamtari ki bisat hi teri bartari ki dalil hai
main nasheb mein na rahun agar tu faraaz tera daba rahe
nae zaKHm hain nai konplen abhi dil pe gham ki bahaar hai
ye dua karo ki KHizan mein bhi ye daraKHt yunhi hara rahe
Ghazal
Yunhi umr-bhar tere rang-o-bu se mere lahu ki wafa rahe
Arshad Abdul Hamid