yunhi Thahar Thahar ke main rota chala gaya
moti sambhal sambhal ke pirota chala gaya
sanchon mein husn o nur ke Dhalta gaya shabab
sar-ta-qadam shabab hi hota chala gaya
dushman ne meri rah mein kanTe bichha diye
aur main uTha to phul hi bota chala gaya
har nafas-e-arzu jo ba-unwan-e-hosh tha
jaise koi sharab se dhota chala gaya
jhula jhula rahi thi mujhe dil ki aarzu
sab jagte the aur mein sota chala gaya
ranj o malal o kaif o nashat o bahaar-e-umr
jo kuchh mujhe mila use khota chala gaya
gham ka KHamosh naghma-e-dil-soz bhi 'nushur'
ek kaif sa ragon mein samota chala gaya
Ghazal
Yunhi Thahar Thahar ke main rota chala gaya
Nushur Wahidi