yunhi ranjish ho aur gila bhi yunhi
ho je har baat par KHafa bhi yunhi
kuchh na hum ko hi bha gaya ye taur
waqai ye ki hai maza bhi yunhi
said-e-kanjashk se na hath uTha
aa ke phans jae hai huma bhi yunhi
jun ujaDa tu ghar mera ai ishq
KHana viran ho tera bhi yunhi
kyun na roun main dekh KHanda-e-gul
ki hanse tha wo bewafa bhi yunhi
ab talak meri zist ne ki wafa
bas main dekhi teri jafa bhi yunhi
mas-e-dil ko diya kar apne gudaz
hath chaDh ja hai kimiya bhi yunhi
ye kahan aur wo gul kidhar 'qaem'
ek hawa bandhe hai saba bhi yunhi
Ghazal
Yunhi ranjish ho aur gila bhi yunhi
Qayem Chandpuri

