اردو हिंदी
Yunhi kaTe na rahguzar-e-muKHtasar kahin | Shaahi Shayari
yunhi kaTe na rahguzar-e-muKHtasar kahin

Ghazal

Yunhi kaTe na rahguzar-e-muKHtasar kahin

Aziz Tamannai

;

yunhi kaTe na rahguzar-e-muKHtasar kahin
paDte hain pae shauq kahin aur nazar kahin

mauhum-o-muKHtasar sahi pesh-e-nazar to hai
dekha kisi ne KHwab ye bar-e-digar kahin

mail-ba-justuju hain abhi ahl-e-ishtiyaq
duniyaen aur bhi hain wara-e-nazar kahin

baqi abhi qafas mein hai ahl-e-qafas ki yaad
bikhre paDe hain baal kahin aur par kahin

ab hum hain aur tilism-e-tamanna ki wusaten
DhunDe se bhi na mil saki rah-e-mafar kahin

har fasla hai jalwa-gah-e-mauj-e-ittisal
yani jabin-e-shauq kahin sang-e-dar kahin

sadiyon ka iztirab 'tamannai' saunp dun
mil jae koi lamha-e-fursat agar kahin