اردو हिंदी
Yunhi jalae chalo dosto bharam ke charagh | Shaahi Shayari
yunhi jalae chalo dosto bharam ke charagh

Ghazal

Yunhi jalae chalo dosto bharam ke charagh

D. Raj Kanwal

;

yunhi jalae chalo dosto bharam ke charagh
ki rah na jaen kahin bujh ke ye alam ke charagh

har ek samt andhera hai hu ka aalam hai
jalao KHub jalao nadim jam ke charagh

jahan mein DhunDte phirte hain ab KHushi ki kiran
kaha tha kis ne jalao huzur gham ke charagh

wafa ka ek hi jhonka na sah sake zalim
teri tarah hi ye nikle teri qasam ke charagh

bujha diye hain wahin gardish-e-zamana ne
jalae jis ne jahan bhi kahin sitam ke charagh

unhin se milti rahi manzilon ki lau mujh ko
bahut hi kaam ke nikle rah-e-adam ke charagh

'kanwal' unhin se mile raushni kahin shayad
jala raha hun yahi soch kar qalam ke charagh