اردو हिंदी
Yunhi gar lutf tum lete rahoge KHun bahane mein | Shaahi Shayari
yunhi gar lutf tum lete rahoge KHun bahane mein

Ghazal

Yunhi gar lutf tum lete rahoge KHun bahane mein

Rifat Sethi

;

yunhi gar lutf tum lete rahoge KHun bahane mein
to bismil hi nazar aaenge har su is zamane mein

zara dam lo to phir tum ko sunain dastan dil ki
abhi kuchh rang bharna hai hamein gham ke fasane mein

lahu se ho gai rangin dekho aastin apni
hazaron koshishen kin tum ne go daman bachane mein

yahi kah kar asiran-e-qafas aansu bahate hain
qafas mein wo kahan rahat mili jo aashiyane mein

kuchh aisa be-KHudi-e-shauq ne behis banaya hai
aziyyat ab nahin mahsus hoti tir khane mein

wo barham honge duniya jaan legi raaz ulfat ka
wafa par harf aa jaega do aansu bahane mein

dawa ka waqt ab baqi nahin hangam-e-ruKHsat hai
sidhaaren chaara-gar ab der kya hai nind aane mein

bala se bijliyan girti hain duniya par giren lekin
maza milta hai un ko dam-ba-dam yun muskurane mein

munasib hai yahi 'rifat' ki baz aao mohabbat se
hai lazim jaan ka KHatra kisi se dil lagane mein