yunhi gar adu ki ghulami karenge
wo hasil baDi nek-nami karenge
karenge dalilen wahan KHub naseh
unhin ko hum apna payami karenge
ijazat bhi de un ko tangi dahan ki
wo kis munh se shirin-kalami karenge
adu ne kiya ghusl-e-sehhat suna hai
wo jalsa baDa dhum-dhami karenge
'ali' ka wasila hai donon jahan mein
'nasim' aur hum kis ko hami karenge
Ghazal
Yunhi gar adu ki ghulami karenge
Naseem Bharat Puri