yunhi aksar mujhe samjha bujha kar lauT jati hai
kisi ki yaad mere pas aa kar lauT jati hai
main bad-qismat wo gulshan hun KHizan jis ka muqaddar hai
bahaar aati hai darwaze se aa kar lauT jati hai
use apna banane mein bhi ek anjaan sa Dar hai
dua honTon talak aati hai aa kar lauT jati hai
main apni qaid ko hi apni aazadi samajh lunga
rihai mujh ko zanjiren laga kar lauT jati hai
agar itni hi sarkash hai to mujh pe kyun nahin girti
wahi bijli jo mera ghar jala kar lauT jati hai
wahan par bhi charagh-e-arzu hum ne jalae hain
jahan se raushni bhi sar jhuka kar lauT jati hai
use main dekh to leta hun lekin chhu nahin pata
koi shai hai jo mere pas aa kar lauT jati hai
Ghazal
Yunhi aksar mujhe samjha bujha kar lauT jati hai
imtiyaz Khan