yun zamane mein mera jism bikhar jaega
mere anjam se har phul nikhar jaega
jam KHali hai surahi se lahu bahta hai
aaj ki raat wo mahtab kidhar jaega
sail-e-girya meri aankhon se ye kah jata hai
bastiyan roen to diya bhi utar jaega
to koi abr-e-guhar-bar samundar ke liye
dil ke sahra se jo chup-chap guzar jaega
aaj ye zulf-e-pareshan hai zamane ke liye
kal yahi daur kisi taur sanwar jaega
teri har baat pe mar jata hun marta bhi nahin
ki meri maut mein insan koi mar jaega
ashk moti se bikhar jaenge rahon mein jahan
su-e-manzil bhi mera dida-e-tar jaega
main makin hun na makan shahr-e-mohabbat ka 'zafar'
dil musafir na kisi ghair ke ghar jaega
Ghazal
Yun zamane mein mera jism bikhar jaega
Ahmad Zafar