اردو हिंदी
Yun tu har chhab wo nirali wo fusun-saz ki bas | Shaahi Shayari
yun tu har chhab wo nirali wo fusun-saz ki bas

Ghazal

Yun tu har chhab wo nirali wo fusun-saz ki bas

Khawar Rizvi

;

yun tu har chhab wo nirali wo fusun-saz ki bas
hae wo ek nigah-e-ghalat-andaz ki bas

dekhne walo zara rang ka parda to haTao
sina-e-gul pe hai zaKHmon ka wo andaz ki bas

dil ke daghon ko chhupaya to ubhar aae aur
raazdari hi ne yun khol diye raaz ki bas

hum ne baKHshi hai zamane ko nazar aur hamein
yun zamane ne kiya hai nazar-andaz ki bas

ranj-o-gham ishq-o-junun dard-o-KHalish soz-o-firaq
aise aise mile 'KHawar' hamein dam-saz ki bas