yun tumhaare na-tawan-e-shauq manzil bhar chale
khai Thokar gir paDe gir kar uThe uTh kar chale
chhoD kar bimar ko ye kya qayamat kar chale
dam nikalne bhi na paya aap apne ghar chale
ho gaya sayyaad barham ai asiran-e-qafas
band ab ye nala-o-fariyaad warna par chale
kis tarah tai ki hai manzil ishq ki hum ne na puchh
thak gae jab panw tera nam le le kar chale
aa rahe hain ashk aankhon mein ab ai saqi na chheD
bas chhalakne ki kasar baqi hai saghar bhar chale
jab bhi KHali hath the aur ab bhi KHali hath hain
le ke hum duniya mein kya aae the kya le kar chale
husn ko ghamgin dekhe ishq ye mumkin nahin
rok le ai shama aansu ab patinge mar chale
is taraf bhi ek nazar hum bhi khaDe hain der se
mangne wale tumhaare dar se jholi bhar chale
ai 'qamar' shab KHatm hone ko hai chhoDo intizar
sahil-e-shab se sitare bhi kinara kar chale
Ghazal
Yun tumhaare na-tawan-e-shauq manzil bhar chale
Qamar Jalalvi