yun toD na muddat ki shanasai idhar aa
aa ja meri ruThi hui tanhai idhar aa
mujh ko bhi ye lamhon ka safar chaT raha hai
mil banT ke ro len ai mere bhai idhar aa
ai sail-e-rawan-e-abadi zindagi nami
main kaun sa paband hun harjai idhar aa
is nikhat-o-ranai se khae hain kai zaKHm
ai tu ki nahin nikhat-o-ranai idhar aa
aasab khinche jate hain ab sham o sahar mein
hone hi ko hai marka-arai idhar aa
sunta hun ki tujh ko bhi zamane se gila hai
mujh ko bhi ye duniya nahin ras aai idhar aa
main rah-numaon mein nahin man meri baat
main bhi hun isi dasht ka saudai idhar aa
Ghazal
Yun toD na muddat ki shanasai idhar aa
Muzaffar Hanfi