yun to zahmat se likhe jate hain hum
KHair misron mein kahan aate hain hum
zehn mein chiKHen rakha karte hain par
us ki KHamoshi se ghabraate hai hum
ab karen jhagDa munasib hi nahin
ishq mein buDhe hue jate hain hum
hosh mein aate hi ho jate hain chup
aur be-hoshi mein chillate hain hum
kis tarah ki wusaten rakhta hai tu
kis tarah tujh mein sama pate hain hum
apne aangan mein parinde dekh kar
jism ki Tahni se uD jate hain hum
dukh ginati hai wo laDki ishq mein
phir use kuchh der bahlate hain hum
dekhna hai kis kahani ke liye
kaun sa kirdar apnate hain hum
Ghazal
Yun to zahmat se likhe jate hain hum
Nivesh Sahu