اردو हिंदी
Yun to wo shakl kho gai gardish-e-mah-o-sal mein | Shaahi Shayari
yun to wo shakl kho gai gardish-e-mah-o-sal mein

Ghazal

Yun to wo shakl kho gai gardish-e-mah-o-sal mein

Khursheed Rizvi

;

yun to wo shakl kho gai gardish-e-mah-o-sal mein
phul hai ek khila hua hashiya-e-KHayal mein

ab bhi wo ru-e-dil-nashin zard sahi hasin to hai
jaise jabin-e-aftab marhala-e-zawal mein

ab bhi wo mere ham-safar hain rawish-e-KHayal par
ab wo nasha hai hijr mein tha jo kabhi visal mein

un ke KHiram-e-naz ko bu-gul-o-saba kaha
hum ne misal di magar rang na tha misal mein

ahl-e-sitam ke dil mein hai kya mere karb ka hisab
un ko KHabar nahin ki main mast hun apne haal mein

kaisa pahaD ho gaya waqt guzarna mujhe
zaKHm pe jam gai nazar KHwahish-e-indimal mein

tu ne mere KHamir mein kitne tazad rakh diye
maut meri hayat mein naqs mere kamal mein