yun to wo har kisi se milti hai
hum se apni KHushi se milti hai
sej mahki badan se sharma kar
ye ada bhi usi se milti hai
wo abhi phul se nahin milti
juhiye ki kali se milti hai
din ko ye rakh-rakhaw wali shakl
shab ko diwangi se milti hai
aaj-kal aap ki KHabar hum ko!
ghair ki dosti se milti hai
shaiKH-sahib ko roz ki roTi
raat bhar ki badi se milti hai
aage aage junun bhi hoga!
sher mein lau abhi se milti hai

Ghazal
Yun to wo har kisi se milti hai
Mustafa Zaidi