yun to wo dard-ashna bhi hain
pas rahte hue juda bhi hain
jashn-e-azadgi bapa kije
kasa-bardar rahnuma bhi hain
hai safina asir-e-mauj-e-bala
yun to kahne ko naKHuda bhi hain
yar-e-be-mehr se gila bhi hai
us se masruf-e-iltija bhi hain
zindagi par hai iKHtiyar un ka
bandagan-e-KHuda KHuda bhi hain
us ke dukh-dard mein sharik rahe
dil-zada dil ka aasra bhi hain
Ghazal
Yun to wo dard-ashna bhi hain
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi