yun to sada-e-zaKHm baDi dur tak gai
ek chaaragar ke shahr mein ja kar bhaTak gai
KHushbu giraft-e-aks mein laya aur us ke baad
main dekhta raha teri taswir thak gai
gul ko barhana dekh ke jhonka nasim ka
jugnu bujha raha tha ki titli chamak gai
main ne paDha tha chand ko injil ki tarah
aur chandni salib pe aa kar laTak gai
roti rahi lipaT ke har ek sang-e-mil se
majbur ho ke shahr ke andar saDak gai
qatil ko aaj sahib-e-ejaz man kar
diwar-e-adl apni jagah se sarak gai
Ghazal
Yun to sada-e-zaKHm baDi dur tak gai
Ghulam Mohammad Qasir