yun to na tere jism mein hain zinhaar hath
dene ke ai karim magar hain hazar hath
angDaiyon mein phailte hain bar bar hath
shisha ki samt baDhte hain be-iKHtiyar hath
Dube hain tark-e-sai se afsos to ye hai
sahil tha hath bhar pe lagate jo chaar hath
aati hai jab nasim to kahti hai mauj-e-bahr
yun aabru sameT agar hon hazar hath
darpai hain mere qatl ke ahbab aur main
KHush hun ki mere KHun mein rangte hain yar hath
daman-kashan chali hai badan se nikal ke ruh
khinchte hain phailte hain jo yun bar bar hath
miTta nahin nawishta-e-qismat kisi tarah
patthar se sar ko phoD ki zanu pe mar hath
saqi sambhaalna ki hai labrez jam-e-mai
laghzish hai mere panw mein aur rasha-dar hath
mutrib se puchh masala-e-jabr-o-iKHtiyar
kya tal sam pe uThte hain be-iKHtiyar hath
main aur hun alaeq-e-duniya ke dam mein
mera na ek hath na us ke hazar hath
ai 'nazm' wasl mein bhi raha tu na chain se
dil ko hua qarar to hai be-qarar hath
Ghazal
Yun to na tere jism mein hain zinhaar hath
Nazm tabaa-tabaa.ii