yun to likhne ke liye kya nahin likkha main ne
phir bhi jitna tujhe chaha nahin likkha main ne
ye to ek lahr mein kuchh rang jhalak aae hain
abhi mujh mein hai jo dariya nahin likkha main ne
mere har lafz ki wahshat mein hai ek umr ka ishq
ye koi khel-tamasha nahin likkha main ne
likhne wala main ajab hun ki agar koi KHayal
apni hairat se na nikla nahin likkha main ne
meri nazron se jo ek bar na pahuncha tujh tak
phir wo maktub dobara nahin likkha main ne
meri sachchai har ek lafz se lau deti hai
jaise sab likhte hain waisa nahin likkha main ne
Ghazal
Yun to likhne ke liye kya nahin likkha maine
Razi Akhtar Shauq