yun to kis chiz ki kami hai
har shai lekin bikhar gai hai
dariya hai ruka hua hamara
sahra mein ret bah rahi hai
kya naqsh banaiye ki ghar mein
diwar kabhi nahin kabhi hai
KHwahish ka hisab bhi lagaun
laDki to bahut napi tuli hai
dil tang hai pas baiThne se
uThna chahun to rokti hai
hoti jati hai meri tashkil
jun jun mujh mein wo TuTti hai
taswir-e-KHizan lahu mein ab ke
pili pili hari hari hai
bahar se chaTan ki tarah hun
andar ki faza mein tharthari hai
pairaw nahin ek bhi 'zafar' ka
kis mazhab-e-saKHt ka nabi hai
Ghazal
Yun to kis chiz ki kami hai
Zafar Iqbal