yun to kahne ko teri rah ka patthar nikla
tu ne Thokar jo laga di to mera sar nikla
log to ja ke samundar ko jala aae hain
main jise phunk kar aaya wo mera ghar nikla
ek wo shaKHs jo phulon se bhare tha daman
har kaf-e-gul mein chhupae hue KHanjar nikla
yun to ilzam hai tufan pe Dubo dene ka
tah mein dariya ki magar naw ka langar nikla
ghar ke ghar KHak hue jal ke nadi sukh gai
phir bhi un aankhon mein jhanka to samundar nikla
farsh ta arsh koi nam-o-nishan mil na saka
main jise DhunDh raha tha mere andar nikla
Ghazal
Yun to kahne ko teri rah ka patthar nikla
Bekal Utsahi