yun to jo chahe yahan sahab-e-mahfil ho jae
bazm us shaKHs ki hai tu jise hasil ho jae
naKHuda ai meri kashti ke chalane wale
lutf to jab hai ki har mauj hi sahil ho jae
is liye chal ke har ek gam pe ruk jata hun
ta na be-kaif gham-e-duri-e-manzil ho jae
tujh ko apni hi qasam ye to bata de mujh ko
kya ye mumkin hai kabhi tu mujhe hasil ho jae
hae us waqt dil-e-zar ka aalam kya ho
gar mohabbat hi mohabbat ke muqabil ho jae
phika phika hai meri bazm-e-mohabbat ka charagh
tum jo aa jao to kuchh raunaq-e-mahfil ho jae
teri nazren jo zara mujh pe karam farmaen
teri nazron ki qasam phir yahi dil dil ho jae
hosh us ke hain ye jam us ka hai tu hai us ka
mai-kade mein tere jo shaKHs bhi ghafil ho jae
fitnagar shauq se 'bahzad' ko kar de pamal
is se taskin-e-dili gar tujhe hasil ho jae
Ghazal
Yun to jo chahe yahan sahab-e-mahfil ho jae
Behzad Lakhnavi