yun to is jalwa-gah-e-husn mein kya kya dekha
jab tujhe dekh chuke koi na tujh sa dekha
jab teri dhun mein kahin lala-e-sahra dekha
hum ye samjhe ki tera naqsh-e-kaf-e-pa dekha
tare TuTe to faza mein teri aahaT gunji
chand nikla to tera chehra-e-zeba dekha
shahr-e-aghyar sahi itni KHushi kya kam hai
hum ne dekha tujhe aur anjuman-ara dekha
hum ko Thukra ke kuchh aise tere tewar badle
jab sar-e-bazm bhi dekha tujhe tanha dekha
hum to samjhe the qayamat hai firaq-e-mahbub
tujh se mil kar bhi magar hashr hi barpa dekha
subh jab dhup ke chashme se naha kar nikli
hum ne aaina badal tera sarapa dekha
bijliyan ab to tere abr-e-karam ki barsen
umr-bhar apne sulagte ka tamasha dekha
hum jo bhaTke bhi to kis shan-e-wafa se bhaTke
hum ne har laghzish-e-pa mein tera ima dekha
hum ba-in tira-nasibi na bane tira-nazar
hum ne har raat ki chitwan mein sitara dekha
teri qudrat ki siyasat na samajh mein aai
haram-o-dair ko har daur mein yakja dekha
aankh kholi to jahan kan-e-jawahar tha 'nadim'
hath phailae to har chiz ko anqa dekha
Ghazal
Yun to is jalwa-gah-e-husn mein kya kya dekha
Ahmad Nadeem Qasmi