اردو हिंदी
Yun to is bazm mein apne bhi hain begane bhi | Shaahi Shayari
yun to is bazm mein apne bhi hain begane bhi

Ghazal

Yun to is bazm mein apne bhi hain begane bhi

Shahid Akhtar

;

yun to is bazm mein apne bhi hain begane bhi
lekin ab dekhiye koi hamein pahchane bhi

aashna rah mein katra ke guzar jate hain
apne hi shahr mein hum ho gae anjaane bhi

ab kahan jaen ki us se bhi talluq na raha
apna ghar yaad nahin band hain maiKHane bhi

fikr-e-daman hai na kuchh jaib-o-gareban ki KHabar
kitne aaram se hain aap ke diwane bhi

yun taaruf na sahi aap se lekin 'shahid'
sunte aae hain bahut aap ke afsane bhi