yun to in aankhon se hum ne o but kahne ko duniya dekhi
lekin sari KHudai bhar teri surat-e-yakta dekhi
khel gae kyun jaan pe 'anjum' tum ne abhi kya duniya dekhi
marne lage KHuban-e-jahan par teri meri dekha-dekhi
dard-e-jigar kam tha ki nahin tha ye to bata dam tha ki nahin tha
kah to mariz mein kuchh bhi dekha nabz jo tu ne masiha dekhi
us ko bhala kyunkar chain aaya dil ko kya kah kar samjhaya
surat teri jis ne sitam-gar tham ke apna kaleja dekhi
wasl ki shab barham hi raha wo ta-ba-sahar uljha hi kiya wo
bal na gaya abru se us ki zulf bhi hum ne suljha dekhi
wah-re-wa ai nala-e-sozan dekh li teri ThanDi garmi
dil na pasija us kafir ka aag bhi tu ne bhaDka dekhi
us ke dil se gai na kudurat dil ki dil hi mein rah gai hasrat
hum ne jhaDi ashkon ki barson in aankhon se barsa dekhi
ek zara se hashr pe waiz us ko Daraata allah allah
jis ne buton ki gali mein barson roz-e-qayamat barpa dekhi
jaisi zist hamari guzri dushman ki bhi yun na basar ho
'anjum' hazrat-e-dil ki badaulat hum ne musibat kya kya dekhi
Ghazal
Yun to in aankhon se humne o but kahne ko duniya dekhi
Mirza Asman Jah Anjum