اردو हिंदी
Yun to har ek shaKHs hi talib samar ka hai | Shaahi Shayari
yun to har ek shaKHs hi talib samar ka hai

Ghazal

Yun to har ek shaKHs hi talib samar ka hai

Sadique Naseem

;

yun to har ek shaKHs hi talib samar ka hai
aisa bhi koi hai ki jise gham shajar ka hai

ye kaisa karwan hai ki ek ek gam par
sab sochte hain kya koi mauqa safar ka hai

ye kaisa aasman hai ki jis ki fazaon mein
ek KHauf sa shikastagi-e-baal-o-par ka hai

ye kaisa ghar hai jis ke makinon ko har ghaDi
dhaDka sa ek larzish-e-diwar-o-dar ka hai

aaankhon pe tirgi ka tasallut hai is qadar
kirnon pe ehtimal fareb-e-nazar ka hai

chehre ka koi dagh dikhai na de mujhe
ye moajaza ajab mere aaina-gar ka hai

tha 'mir-ji' ka daur ghanimat ki un dinon
dastar hi ka Dar tha magar ab to sar ka hai

ye sare silsile the jab aaankhon mein nur tha
ab kis ka intizar kisi dida-war ka hai

ghaalib hai ab buland sada hi dalil par
'sadiq' hamara daur ajib shor-o-shar ka hai