اردو हिंदी
Yun to hai zer-e-nazar har majra dekha hua | Shaahi Shayari
yun to hai zer-e-nazar har majra dekha hua

Ghazal

Yun to hai zer-e-nazar har majra dekha hua

Zafar Iqbal

;

yun to hai zer-e-nazar har majra dekha hua
phir nahin dekha hai wo rang-e-hawa dekha hua

wo tera tarz-e-taghaful ye tera begana-pan
wo alag dekha hua hai ye juda dekha hua

dekhte the jis ko pahli bar hairani se hum
asl mein pahle hamara wo bhi tha dekha hua

toD kar hi aarzu pahunchi kahin payan-e-kar
ghup-andhere mein koi band-e-qaba dekha hua

dekhna paDta hai kya batlaen phir kyun bar bar
wo jo manzar tha hamara bar-ha dekha hua

farq hi donon mein kuchh baqi nahin ab to koi
kya nahin dekha hua hai aur kya dekha hua

ajnabi mere liye phir bhi hai kyun mera wajud
dar-ba-dar DhunDa hua aur ja-ba-ja dekha hua

ye jo an-dekhi guzargahon pe hain mere qadam
shayad in mein bhi hai koi rasta dekha hua

jo nai tarz-o-rawish mujh ko dikhate ho 'zafar'
ye to meri jaan sab kuchh hai mera dekha hua