اردو हिंदी
Yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH | Shaahi Shayari
yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH

Ghazal

Yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH

Qayem Chandpuri

;

yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH
par jo kuchh aap mein fan hain wo kise yaad hain shaiKH

sab hi bande to KHuda ke hain par itna hai farq
tu giraftar-e-tayyun hai hum aazad hain shaiKH

hum to mar jaen jo ek dam ye karen saum-o-salat
kyun ki jite hain wo jo aap ke miqtad hain shaiKH

duKHtar-e-raz to hai beTi si tere upar haram
rind is rishte se sare tere damad hain shaiKH

thoDi si baat mein 'qaem' ki tu hota hai KHafa
kuchh haramzadgain apni bhi tujhe yaad hain shaiKH