اردو हिंदी
Yun to dil har kadam rakhta hai | Shaahi Shayari
yun to dil har kadam rakhta hai

Ghazal

Yun to dil har kadam rakhta hai

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

;

yun to dil har kadam rakhta hai
ahl-e-dil hona kaam rakhta hai

kab wo tama-e-salam rakhta hai
mujh sa lakhon ghulam rakhta hai

ishrat-e-do-jahan hai us ke sath
jo surahi-o-jam rakhta hai

hai wahi KHas bazm-e-duniya mein
jo madara-e-am rakhta hai

din-o-duniya ka jo nahin paband
wo faraghat tamam rakhta hai

but-paraston ko kui kahe hai zubun
kui musalman ko nam rakhta hai

har koi apni fahm-e-naqis mein
puKHta sauda-e-KHam rakhta hai

jo kisu ko bura kahe na 'huzur'
wahi fahm-mand nam rakhta hai