yun to bahut hasin hai bahaar-e-chaman ki yaad
dil par magar hai naqsh isi anjuman ki yaad
hum KHud gham-e-hayat se sina-figar hain
ai dosto dilao na us gul-badan ki yaad
is intha-e-talKHi-e-dauran ke bawajud
taza hai aaj bhi kisi shirin-dahan ki yaad
phir ji mein hai ki khaiye koi naya fareb
phir aa rahi hai ek but-e-wada-shikan ki yaad
rangin baadalon ke ye TukDe ye chandni
aksar dila gae hain tere bankpan ki yaad
uljhan gham-e-hayat ki kuchh aur baDh gai
aai hai jab bhi zulf shikan-dar-shikan ki yaad
'arshad' dayar-e-ghair mein sab kuchh luTa ke hum
dil se lagae phirte hain apne watan ki yaad
Ghazal
Yun to bahut hasin hai bahaar-e-chaman ki yaad
Arshad Siddiqui