اردو हिंदी
Yun to aashiq tera zamana hua | Shaahi Shayari
yun to aashiq tera zamana hua

Ghazal

Yun to aashiq tera zamana hua

Hasrat Mohani

;

yun to aashiq tera zamana hua
mujh sa jaan-baz dusra na hua

KHud-ba-KHud bu-e-yar phail gai
koi minnat-e-kash-e-saba na hua

main giraftar-e-ulfat-e-sayyaad
dam se chhuT ke bhi riha na hua

KHabar us be-KHabar ki la deti
tujh se itna bhi ai saba na hua

un se arz-e-karam to kya karte
hum se KHud shikwa-e-jafa na hua

ho ke be-KHud kalam-e-hasrat se
aaj 'ghaalib' ghazal sara na hua