yun teri chap se tahrik-e-safar TuTti hai
jaise palkon ke jhapakne se nazar TuTti hai
bojh ashkon ka uTha leti hain palken meri
phul ke wazn se kab shaKH-e-shajar TuTti hai
zindagi jism ke zindan mein ye sanson ki salib
hum se toDi nahin jati hai magar TuTti hai
koi jugnu koi tara nahin lagta raushan
zulmat-e-shab mein jab ummid-e-sahar TuTti hai
kitne andeshon ki kirchen si bikhar jati hain
ek chauDi bhi kalai se agar TuTti hai
ab siwa neze pe suraj nahin aata hai 'salim'
ab qayamat bhi ba-andaz-e-digar TuTti hai
Ghazal
Yun teri chap se tahrik-e-safar TuTti hai
Saleem Siddiqui