اردو हिंदी
Yun Thani raat teri yaad se takrar-e-KHayal | Shaahi Shayari
yun Thani raat teri yaad se takrar-e-KHayal

Ghazal

Yun Thani raat teri yaad se takrar-e-KHayal

Naseeruddin

;

yun Thani raat teri yaad se takrar-e-KHayal
gungunati rahi har aan shab-e-tar-e-KHayal

chhoD kar mere dar-o-baam wo mastur to hai
ban ke rahta hai magar naqsh-ba-diwar-e-KHayal

mand paDne lagi jab aaina-e-dil ki jila
ek hi aks dikhane laga zangar-e-KHayal

ho ke KHushbu-e-gul-e-raaz uDega ek din
kab talak qaid rahega pas-e-diwar-e-KHayal

tujh se qaem hai mera silsila-e-wahm-o-yaqin
tujh ko dekhunga kisi roz sar-e-dar-e-KHayal

harf-o-mani ki tag-o-dau ka natija ye hua
apni aahaT se bhi Darne laga rahwar-e-KHayal

na kahin jins-e-giran hai na KHaridar koi
kaisa sunsan paDa rahta hai bazar-e-KHayal

nukta-chin dil na tha aur rah-e-safar mushkil thi
log har moD pe karte rahe izhaar-e-KHayal

yaad aaya mujhe us shaKHs ka jaana 'nasir'
jis ki sharminda-e-ehsan hai raftar-e-KHayal