yun tasawwur mein basar raat kiya karte the
lab na khulte the magar baat kiya karte the
hae wo raat ki soti thi KHudai sari
hum kisi dar pe munajat kiya karte the
yaad hai bandagi-e-ahl-e-mohabbat jis par
aap bhi faKHr o mabahat kiya karte the
hum kabhi mo'takif-e-kunj-e-haram ho kar bhi
sajda-e-pir-e-KHarabaat kiya karte the
yaad karta hai usi ahd-e-guzishta ko 'shafiq'
jab tum altaf o inayat kiya karte the
Ghazal
Yun tasawwur mein basar raat kiya karte the
Shafiq Jaunpuri