yun sitamgar nahin hote jaanan
phul patthar nahin hote jaanan
kyun mere dil se kahin jate ho
ghar se be-ghar nahin hote jaanan
wasl ki shab jo karam tum ne kiye
kyun mukarrar nahin hote jaanan
hum tumhein but ki tarah pujte hain
phir bhi kafar nahin hote jaanan
gham ke dipak nahin jalte jab tak
dil munawwar nahin hote jaanan
hum to rahte hain tumhaari had mein
had se bahar nahin hote jaanan
ek jaise hain KHushi ke lamhe
dukh barabar nahin hote jaanan
is qadar KHun na bahana dil ka
dil samundar nahin hote jaanan
Ghazal
Yun sitamgar nahin hote jaanan
Baqi Ahmad Puri