yun shor-o-shar ke sare talabgar so gae
sannaTe chiKHne lage bazar so gae
palkon pe bojh ban gain jab din ki raunaqen
aankhon mein bhar ke KHwab giran-bar so gae
diwar-o-dar bhi apni marammat se tang the
gir jae ab makan ki meamar so gae
suraj ke sath tu bhi lahu ro ke Dub ja
ai sham-e-hijr tere parastar so gae
'ashhar' kisi ke qurb-e-hawasnak se gharaz
apna bhi dil tha bhinch ke ek bar so gae
Ghazal
Yun shor-o-shar ke sare talabgar so gae
Iqbal Ashhar Qureshi