yun shab-e-hijr teri yaad aai
dur bajti ho jaise shahnai
aap apni hansi uData hun
KHud tamasha hun KHud-tamashai
jab zamane ne sath chhoD diya
apni diwangi hi kaam aai
kal junun ka mazaq uDati thi
ab junun se KHajil hai danai
aaina dil ka chur chur hua
aur aawaz tak nahin aai
kitna iThla ke chal rahi hai saba
tera paigham to nahin lai
shairon mein shumar ho jis se
mujh mein wo baat abhi nahin aai

Ghazal
Yun shab-e-hijr teri yaad aai
Maher Chand Kausar