yun sang-dil hayat se ahd-o-wafa kiya
diwar darmiyan thi magar KHud ko wa kiya
miTTi ka rang-o-nur se rishta qadim tha
har bar zindagi ne naya tajraba kiya
the dastaras mein yun to sab asrar-e-kaenat
is umr-e-bewafa ne magar na-rasa kiya
har ajnabi maqam se tanha guzar gae
apna hi naqsh-e-pa tha jise rahnuma kiya
chamka diya lahu ne dil-e-tira-jism ko
ek sail-e-nur tha ki ragon mein baha kiya
danista luT gaya ye saman-zar dekhna
phulon ne nikhaton ko sipurd-e-saba kiya
ye raat raushni ki tamanna mein bujh gai
dil ko ye kis shikast ne be-muddaa kiya
yun to jahan tamam hai tufan-e-rang-o-nur
kis aabshaar ne hamein rangin-nawa kiya
Ghazal
Yun sang-dil hayat se ahd-o-wafa kiya
Akbar Haidri