اردو हिंदी
Yun nikalti hai meri baat dahan se uske | Shaahi Shayari
yun nikalti hai meri baat dahan se uske

Ghazal

Yun nikalti hai meri baat dahan se uske

Lutf-ur-rahman

;

yun nikalti hai meri baat dahan se us ke
jaise barson ka taaruf ho badan se us ke

yun sar-e-bazm mila TuT ke ek umr pe wo
hum bhi ghabra gae be-saKHta-pan se us ke

us ka lahja hai ki bahti hui naghmon ki nadi
jaise ilham ki barish ho suKHan se us ke

us se mil ke bhi KHala ab bhi wahi ruh mein hai
mutmain dil bhi nahin sarw-o-saman se us ke

KHilqat-e-shahr ne afsane tarashe kya kya
dil tahi-dast hi lauTa hai chaman se us ke

is tarah shahr salibon se sajaya us ne
koi mahfuz nahin dar-o-rasan se us ke

dekhna kis ke lahu se hai charaghan maqtal
ek ugta hua suraj hai kafan se us ke