yun nahin wo nazar nahin aata
hum ko didar kar nahin aata
waqt achchha zarur aata hai
par kabhi waqt par nahin aata
sirf rona hi mujh ko aata hai
aur koi hunar nahin aata
jo bhi jata hai us ke kuche mein
phir wo bar-e-digar nahin aata
us ka jalwa bhi ek tamasha hai
nazar aata hai par nahin aata
us ne jate hue kaha 'sahir'!
waqt phir lauT kar nahin aata

Ghazal
Yun nahin wo nazar nahin aata
Parvez Sahir