yun nahin tha ki tirgi kam thi
dhup se apni dosti kam thi
KHwahishon ke hujum the lekin
apne hisse mein zindagi kam thi
tum na aae to bas hua itna
kal charaghon mein raushni kam thi
han wo hans kar nahin mila phir bhi
us ki baaton mein be-ruKHi kam thi
gham use bhi na tha bichhaDne ka
meri aankhon mein bhi nami kam thi
kuchh taghaful-mizaj tha saqi
aur kuchh apni pyas bhi kam thi
us ka lahja to KHub tha lekin
us ke sheron mein shairi kam thi
kyun mujhe de gaya wo sannaTe
kya mere ghar mein KHamushi kam thi

Ghazal
Yun nahin tha ki tirgi kam thi
Nafas Ambalvi